Na jaane kya chhoot raha

Na jaane kya chhoot raha, kahin to aaj kuch toot raha hai
Bikhar gya hai jaise sab kuch, kyun aaj ye dil bhi bikhar raha hai.
Aankhon mein nami si hai,saanson mein garmi si hai
Dil mein yaadon ki yaadein hain, kyun ye dil aaj yu ro raha hai
nazarein piche palat palat na jaane kise dhund rahi hain,
na jaane aaj uske intezaar mein ruk jaaane ko dil chah raha hai
Use kareeb na pakar udaasi mein doob raha hai
Lab pe khushi honi chaiye thi yakeennan
par kyu us sathi ko khokar dil yu tadap raha hai.
Kya karu iss bebas dil ka jo bas uske hothon pe khushi dekhne ko machal raha hai
Ye jaante hue ki uski aankhon mein nami bhi maine hi bhari, usko khone ke gham mein aankhein apni bhi nam kar raha hai.
Har chhoti chhoti baat pe uski muskaan dekhna, na dikhe to mehfil bhar mein use dhudne nikal padna, uski ek zid ke liye duniya palat dena isi pyaar ke chalte hi yeh dil aaj use khone ke gham mein ro raha hai.

Comments

Anonymous said…
Need i really comment on ths 1...shayad isi ka naam pyar hai...
Anonymous said…
Ap to shayara ho gayi ....kahi se pyaar ka asar to nahi...huh :)

Popular Posts