Kaash zindagi aasan hoti..

Writing after a long long time..
I did write but nothing complete to post on this space...

Kaash Zindagi aasan hoti, har khwaab ki apni ek pehchaan hoti.
To yun na aankhein kabhi nam hoti aur na hi dil mein udaasi hoti.
Par un aasuon ki bhi koi wajah hi hogi, har boond ke piche ik hasi chhupi hogi.
Us udaasi ka bhi koi maksad hoga, har tees ke piche ik meetha ehsaas chhupa hoga.

Kaash zindagi mein ik dilbar hota, jisne mujhe dil se chaha hota.
to yun na ye dil intezaar karta, aur na hi nazrein darwaaze pe tiki hoti.
par us intezaar ka bhi koi maksad hoga, har inteha ke piche ik meetha sa dard hoga.
un nazron mein bhi ik bekrari hogi, aur us bekarari ka bhi koi sabab hoga.

Kaash ye zindagi us raat ki tarah hoti, jiske aagosh mein wo subah hoti.
wo subah jab wo mere saath hote, aur main unki baahon mein simati hoti.
par us dilbar ki bhi koi chahat hogi, shayad uski subah kahin aur likhi hogi.
us raat ka bhi koi maksad hoga, jisne unhein jaane par majbur kiya hoga..

Kaash ye zindagi aasan hoti. kaash ye zindagi us raat ki tarah hoti.

Comments

Popular Posts