Rishtey ??

Kai baar rishton ke chakravyuh mein
Apne aap ko uljha hua paati hu main,
Kai baar inn rishton naaton se dur, kahin dur!!
Bhaag jaana chahti hu main,
Kai baar meri tanhaiyon ko raund
Yeh mera sukh chain chhin lete hain
Ab inn rishton ki gehraiyon ko bhool jana chahti hu main.

Kabhi har rishtey mein main pyaar ki jhalak dekhti thi
Ab usi har rishtey mein ik pyaar ki jhalak ke liye taras jaya karti hu main,
Par kya karun mera mann vyakul ho uthta hai
Gar kisi bhi rishtey ko tod dena chahti hun main.

Kya inhin kache taane-baano ko rishta kehte hain??
Kya inhin jhoothey vaadon ko rishta kehte hain??
Kya inhin dhakosalon ko rishta kehte hain??
Nahin!! Nahin!! Nahin!!
Iss paribhasha ko badal dena chahti hu main.
Har rishtey mein ek pyaar ka beej bou dena chahti hun main,
Har rishtey mein ek umeed ki kiran jagaana chahti hu main,
Har rishtey ko khushiyon se bhar dena chahti hun main.
Jaanti hun yeh mushkil hoga
Par iss chakravyuh ko bhedne ka yahi ek upaaay hai,
Yeh jaankar hi inn rishton ke mahatava ko bhulna nahin chahti hun main.

Har rishta meri umeed par khara utra
Aur har rishtey ki umeed par main
Isi aasha mein har rishtey ki neev rakhna chahti hu main.

Toote rishtey chubhte hain paanw mein toote bikhre kaanch ki tarah,
Tadapte hain aankhon mein anchahi fuhaar ki tarah,
Chubhte hain kaanon mein girte bartno ke shor ki tarah
Ek tis si de jaate hain dil ko
Jaisi uthti hai jab purana koi zakhm fir se hara ho uthta hai
Itna sab nahin she paungi main,
Jaanti hu, ek toote rishtey ke tarah toot kar reh jaungi main.

Par suna hai umeed par duniya kayam hai,
Isliye ek umeed baandhe hue hu apne aap se
Ki nibhaungi har rishtey ko,
Dil se nihaungi har rishtey ko,
Jhootha nahin ban na dungi kisi rishtey ko,
Isi umeed par iss duniya mein nit naye rishtey bana na chahti hu main,
Har rishtey se pyaar pana chahti hu main.

Par fir bhi kai baar, har baar rishton ke chakravyuh mein khud ko uljha hua paati hu main.

Comments

Umang Sagar said…
When did you start writing poems?...never told me....very bad....this is beautifully written, simple yet profound, i am very sure many of us can relate to this poem, many of us are always fighting with this inner strife as far as relationship is concerned....give me more links if you have put your other works somewhere.
Unknown said…
its nice to c sm1 young having such a good thot n i have smthin 2 say as well "k pehle hum diwaron mein rehte the aj dewarein humare bich rehti hai"n shayad isi karan shaayad risthon mein kadwahat hai..can u mail me some of ur odr poems as well my id is parshant87@gmail.com..
n Wish u a very bright future as well
Anonymous said…
hey sounds touchy,touching lives,relations,touching the inner u me n all...

keep penning thy thoughts down...

cheers!

Popular Posts